Ye sabr ka imtehaan

 

‘As-salâmu calaykum, to all momin and mominaat

Ye sabr ka imtehaan

Ye sabr ka imtehaan, ya Imam-e-Zamaan

Muntazir hain ke kab ho zahoor aapka
Saare aalam pe chha jaaye noor aapka
Ho munawwar jahaan aap jab ho ayaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan

Zulm se tarr hui duniya aa jaaiye
Ban ke rehmat zamaane pe chhaa jaaiye
Aap hain waaris-e-rehmat-e-do jahaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan

Hum to labbaik kehne ko tayyar hain
Paas ilm-o-shujaa’at ke hathiyaar hain
Kab talak yun sahein zulm aur sakhtiyaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan

Ek karam ki nazar hum pe farmaaiye
Haal ab tarr hai kuchh to raham khaaiye
Aap ko sab khabar hai karein kya bayaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan

Raat din ye dua’ein hain lab par Nazeem
Humko mil jaaye duniya mein rutba azeem
Humse hi ho sipaah-e-Imam-e-Zamaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan
-Nazeem

BIOGRAPHIES OF THE HOLY IMAMS

Imam Ali bin Abi Taleb. (The Commander of the faithful)
Imam Hasan bin Ali bin Abi Taleb. (Al-Naqi)
Imam Hussein bin Ali bin Abi Taleb. (The Martyred)
Imam Ali bin Hussein. (Al-Sajjad)
Imam Mohammed bin Ali. (Al-Baqir)
Imam Ja’far bin Mohammed. (Al-Sadiq)
Imam Musa bin Ja’far. (Al-Kadhim)
Imam Ali bin Musa. (Al-Rida)
Imam Mohammed bin Ali. (Al-Jawad)  
Imam Ali bin Mohammed. (Al-Hadi)
Imam Hasan bin Ali. (Al-Askari)
Imam Mohammed bin Hasan. (Al-Mahdi)

Leave a Reply